Tuesday, January 4, 2011

Tanhai Bhari Zindagi

Tanhai bhari zindagi ka safar mila,
Na sathi na humsafar mila.
Hum diya jalta chhod gaye unke liye,
Jab loute to jalta hua ghar mila

Rulane Walon Ki Baat

Rulane walon ki baat kyon karte ho,
Rulana to shayad sabko aata hai.
Nahi jaanta kya tha mera kasur,
Baitha diya jahan door tak sannata hai.


Galti Nahi Mohabbat Ki Humne

Galti nahi mohabbat ki humne,
Bewafai nahi wafa ki humne.
Na jaane kahan mere pyar me kami ho gayi,
Ki chaahat nahi aarzoo ki humne.

Suna Tha Khuda Sabki Sunta Hai

Suna tha khuda sabki suntan hai,
Isliye dua karne ki bhool kar baithe.
Pyar ka anjaam kahan malum tha,
Isiliye dil lagane ki bhool kar baithe.


No comments:

Post a Comment